band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga
mahmil-e-dil se nikal sar ko hawa taza laga
dekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir
ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga
han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahrai ka andaza laga
har taraf se aaega teri sadaon ka jawab
chup ke changul se nikal aur ek aawaza laga
sar uTha kar chalne ki ab yaad bhi baqi nahin
mere jhukne se meri zillat ka andaza laga
lafz mani se gurezan hain to un mein rang bhar
chehra hai be-nur to us par koi ghaza laga
aaj phir wo aate aate rah gaya aur aaj phir
sar-ba-sar bikhra hua hasti ka shiraaza laga
rahm kha kar 'arsh' us ne is taraf dekha magar
ye bhi dil de baiThne ka mujh ko KHamyaza laga
Ghazal
Band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga
Arsh Siddiqui