اردو हिंदी
Banae zehn parindon ki ye qatar mera | Shaahi Shayari
banae zehn parindon ki ye qatar mera

Ghazal

Banae zehn parindon ki ye qatar mera

Azhar Inayati

;

banae zehn parindon ki ye qatar mera
isi nazare se kuchh kam ho intishaar mera

jo main bhi aag mein hijrat ka tajraba karta
muhajiron hi mein hota wahan shumar mera

phir apni aankhen sajae hue main ghar aaya
safar ek aur raha ab ke KHush-gawar mera

tamam umr to KHwabon mein kaT nahin sakti
bahut dinon to kiya us ne intizar mera

ye mera shahr meri KHamiyon se waqif hai
yahan kisi ko na aaega e'tibar mera

ye log sirf meri zindagi ke dushman hain
mujassama ye banaenge shandar mera

meri bisat se 'azhar' bahut ziyaada thin
tawaqquat jo rakhta tha mujh se yar mera