اردو हिंदी
Bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe | Shaahi Shayari
bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe

Ghazal

Bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe

Khursheed Rizvi

;

bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe
abhi na KHak uDae hawa se kaun kahe

pae nashat nafas-do-nafas bacha ke rakhe
ye muddaa dil-e-be-muddaa se kaun kahe

gai to bu hi nahin rang bhi gulon se gaya
palaT ke bagh mein aae saba se kaun kahe

wo multafit hain magar ab hamein dimagh nahin
kahe hue ko phir ab ibtida se kaun kahe

bahut se rog dua mangne se jate hain
ye baat KHugar-e-rasm-e-dawa se kaun kahe

wo dil ka dard wo na-guftani suKHan 'KHurshid'
KHuda se kah liya KHalq-e-KHuda se kaun kahe