اردو हिंदी
Bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun | Shaahi Shayari
bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun

Ghazal

Bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun

Umair Manzar

;

bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun
main apne hi aaine mein KHud ko jahan bhi dekhun KHarab dekhun

ye kis ke sae ne rafta rafta ek aks mauhum kar diya hai
adam agar hai wajud mera to roz o shab kyun azab dekhun

badal badal ke har ek pahlu fasana kya kya bana raha hai
bahut se kirdar aae honge magar koi intiKHab dekhun

ye mere sathi hain pyare sathi magar inhen bhi nahin gawara
main apni wahshat ke maqbare se nai tamanna ke KHwab dekhun

main chahta hun badal dun 'manzar' purane naqsh o nigar sare
ki sarhad-e-jism-o-jaan se aage naya koi iztirab dekhun