bana ke toDti hai daere charagh ki lau
baha ke le gai mujh ko kahan shuur ki rau
bana chuka hun adhure mujassame kitne
kahan wo naqsh jo takmil-e-fan ka ho partaw
wo moD mere safar ka hai nuqta-e-aghaz
fareb-KHurda-e-manzil hue jahan rah-rau
larazte hain meri mahrum-e-KHwab aankhon mein
bikhar chuke hain jo KHwab un ke muntashir partaw
bhaTak na jaun main tashkik ke andheron mein
laraz rahi hai meri sham-e-etaqad ki lau
shab-e-daraaz ka hai qissa muKHtasar 'kaifi'
hui sahar ke ujalon mein gum charagh ki lau
Ghazal
Bana ke toDti hai daere charagh ki lau
Haneef Kaifi