bana degi zamin ko aaj shayad aasman barish
ki dhoe ja rahi hain ghar ki sari khiDkiyan barish
nae sadmat ka sailab aaya dil ki basti mein
nigal jae na teri yaad ki ye kashtiyan barish
khuli jo aankh to chehre pe jagmag thi phuwaron ki
ki milne aai thi kal raat mujh se na-gahan barish
badan se jab alag karti ho tum bhige hue kapDe
chhama-chham nachti hai jangalon ke darmiyan barish
'salim' aankhon se sahraon ka KHali-pan Tapakta hai
mere andar barasti hai kahin ban kar dhuan barish
Ghazal
Bana degi zamin ko aaj shayad aasman barish
Sardar Saleem