ban se fasil-e-shahr tak koi sawar bhi nahin
kis ko biThaen taKHt par gard-o-ghubar bhi nahin
barg-o-gul-o-tuyur sab shaKHon ki samt uD gae
qasr-e-jahan-panah mein naqsh-o-nigar bhi nahin
sayon ki zad mein aa gain sari ghulam-gardishen
ab to kaniz ke liye rah-e-farar bhi nahin
maile libas ki dua pahunche shabih-e-shaKH tak
shahon ke paen bagh mein aisa mazar bhi nahin
kal hama-tan jamal the aaine hasb-e-haal the
sunte hain ab wo KHal-o-KHad aks ke par bhi nahin

Ghazal
Ban se fasil-e-shahr tak koi sawar bhi nahin
Ghulam Mohammad Qasir