bala se ho sham ki siyahi kahin to manzil meri milegi
udhar andhere mein chal paDunga jidhar mujhe raushni milegi
hujum-e-mahshar mein kaisa milna nazar-farebi baDi milegi
kisi se surat teri milegi kisi se surat meri milegi
tumhaari furqat mein tang aa kar ye marne walon ka faisla hai
qaza se jo ham-kanar hoga use nai zindagi milegi
qafas se jab chhuT ke jaenge hum to sab milenge ba-juz-nasheman
chaman ka ek ek gul milega chaman ki ek ek kali milegi
tumhaari furqat mein kya milega tumhaare milne se kiya milega
'qamar' ke honge hazar-ha gham raqib ko ek KHushi milegi
Ghazal
Bala se ho sham ki siyahi kahin to manzil meri milegi
Qamar Jalalvi