bala se barq ne phunka jo aashiyane ko
chaman mein kya hai pata chal gaya zamane ko
kisi ka dar jo mila to kisi ke ho ke rahe
kisi ke waste Thukra diya zamane ko
urus-e-zist unhin ko gale lagati hai
jo dar par bhi sunate hain haq zamane ko
KHulus-e-dil na ho shamil to bandagi kya hai
zamana khel samajhta hai sar jhukane ko
ubhar rahi thi jahan se hayat-e-nau ki kiran
bula raha tha usi samt main zamane ko
badal sako to badal do hayat ke tewar
lab-e-hayat taraste hain muskurane ko
uThaun barq ke ehsan kis liye 'faizi'
main KHud hi aag laga dun na aashiyane ko
Ghazal
Bala se barq ne phunka jo aashiyane ko
Faizi Nizam Puri