اردو हिंदी
Bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota | Shaahi Shayari
bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

Ghazal

Bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota

Saqib Lakhnavi

;

bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota
bahut pahlu hain aise bhi ki jin mein dil nahin hota

nishan-e-be-nishani miT nahin sakta qayamat tak
ye naqsh-e-haq jafa-e-dahr se baatil nahin hota

jahan mein na-umidi ke siwa ummid kya mani
sabhi kahte hain lekin dil mera qail nahin hota

taDapna kis ka dekhoge jo zinda hon to sab kuchh ho
bala-e-ishq ka mara kabhi bismil nahin hota

sadaen de raha hun muddaton se ahl-e-marqad ko
sabhi sote hain lekin yun koi ghafil nahin hota

sarishk-e-gham ki had sham-o-sahar mein mil nahin sakti
umanDte hain jo ye dariya to phir sahil nahin hota

dua de ishq ko ai zulm tu bhi zeb-e-pahlu hai
wagarna kaisa hi paikan ho lekin dil nahin hota

faramoshi hai lekin yaad rakhta hai tere dar ko
dar-e-aghyar par 'saqib' kabhi sail nahin hota