اردو हिंदी
Baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log | Shaahi Shayari
baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log

Ghazal

Baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log

Saleem Ahmed

;

baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log
yahan jo ahl-e-mohabbat ke ja-nashin honge

kahan se aaj meri ruh mein chamak uTThe
wo tere dukh jo tujhe yaad bhi nahin honge

zamana garm-e-safar hai kahin to paega
wo dil jo mehr-o-mohabbat ki sarzamin honge

main kar raha hun teri chashm-e-nam se andaza
ki aane wale zamane bahut hasin honge

'salim' ghar se nikal kar na jao sahra mein
hawa ke rag bahut dard-afrin honge