baja ki har koi apni hi ahmiyat chahe
magar wo shaKHs to hum se musahibat chahe
guzar rahe hain ajab jaan-kani mein roz-o-shab
ki ruh qarya-e-tan se muhajrat chahe
kaman mein tir chaDha ho to be-aman tair
salamti ko koi kunj-e-afiyat chahe
nikal paDe hain gharon se to sochna kaisa
ab aae rah mein azabon ki saltanat chahe
ana ke hathon hua hai 'shafiq' jo bhi hua
magar ye dil ki abhi tak mufahamat chahe

Ghazal
Baja ki har koi apni hi ahmiyat chahe
Shafiq Saleemi