baja ki aankh mein nindon ke silsile bhi nahin
shikast-e-KHwab ke ab mujh mein hausle bhi nahin
nahin nahin ye KHabar dushmanon ne di hogi
wo aae aa ke chale bhi gae mile bhi nahin
ye kaun log andheron ki baat karte hain
abhi to chand teri yaad ke Dhale bhi nahin
abhi se mere rafugar ke hath thakne lage
abhi to chaak mere zaKHm ke sile bhi nahin
KHafa agarche hamesha hue magar ab ke
wo barhami hai ki hum se unhen gile bhi nahin
Ghazal
Baja ki aankh mein nindon ke silsile bhi nahin
Parveen Shakir