baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain
magar ye dekh sab kuchh be-irada chahte hain
bahut dil-tang hain gunjaish-e-maujud se hum
rah-e-imkan kushada se kushada chahte hain
purani hai numu-asar hai phir bhi ye miTTi
badan se aur abhi kuchh istifada chahte hain
sawar aate nahin hain lauT kar jin ghaTiyon se
safar is khunT ka ek pa-pyaada chahte hain
bahut be-zar hain ashrafiya ki rahbari se
koi insan koi KHak-zada chahte hain
koi izhaar aamada hai dil ki dhaDkanon mein
hum us ke waste ek lahan-e-sada chahte hain
jo ho maqbul us ki bargah-e-haq-ada mein
wo ek lamha 'riyaz' aadhe se aadha chahte hain
Ghazal
Baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain
Riaz Majeed