baiThe hue hain hum KHud aankhon mein dhul Dale
ai ru-e-yar tu ne parde fuzul Dale
jhagDa hi tum chuka do jab tegh khinch li hai
aafat mein phir na mujh ko jaan-e-malul Dale
surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai
dair-o-haram ki babat jhagDe fuzul Dale
turbat se koi puchhe nairangi-e-zamana
bazon ne KHak Dali bazon ne phul Dale
kahte hain jis ko jalwa wo bhi kahin ruka hai
aaDen fuzul ki hain parde fuzul Dale
sadqe dil-o-jigar ko mizhgan pe kar chuka hun
main ne to apne hathon kanTon pe phul Dale
kaise hisab joDun aamal-e-masiyat ka
jab us ki shan-e-rahmat ginti mein bhul Dale
'muztar' dilon ke andar rakhne ke the ye kafir
dozaKH mein kyun KHuda ne jannat ke phul Dale
Ghazal
BaiThe hue hain hum KHud aankhon mein dhul Dale
Muztar Khairabadi