baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai
jaane walon ka jaana yaad aa jata hai
baat-chit mein jis ki rawani masal hui
ek nam lete mein kuchh ruk sa jata hai
hansti-basti rahon ka KHush-bash musafir
rozi ki bhaTTi ka indhan ban jata hai
daftar mansab donon zehn ko kha lete hain
ghar walon ki qismat mein tan rah jata hai
ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai
koi aa jae to waqt guzar jata hai
Ghazal
BaiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai
Zehra Nigaah