baiTha nahin hun saya-e-diwar dekh kar
Thahra hua hun waqt ki raftar dekh kar
ham-mashrabi ki sharm gawara na ho saki
KHud chhoD di hai shaiKH ko mai-KHwar dekh kar
kya dekhta hai ai dil-e-mushtaq-e-did ab
hum ne to kah diya tha KHabar-dar dekh kar
aane lagi hai ishq ko ghairat par apni sharm
shayad teri nigah ko bezar dekh kar
kya kya fareb-e-aql diye un ki bazm ne
mere junun ko mahram-e-asrar dekh kar
kya jaane bahr-e-ishq mein kitne hue hain gharq
sahil se sath aab ko hamwar dekh kar
duniya ki zindagi ka tasawwur hai subh-e-hashr
jaga hun KHud ko KHwab mein bedar dekh kar
hain aaj tak nigah mein haalanki aaj tak
dekha na phir kabhi unhen ek bar dekh kar
dast-e-wafa se daman-e-dil ko chhuDa liya
ahl-e-hawas ne ishq ko dushwar dekh kar
'bismil' tum aaj rote ho anjam-e-ishq ko
hum kal samajh gae the kuchh aasar dekh kar
Ghazal
BaiTha nahin hun saya-e-diwar dekh kar
Bismil Saeedi