baiTha hun waqf-e-matam-e-hasti miTa hua
zahr-e-wafa hai ghar ki faza mein ghula hua
KHud us ke pas jaun na us ko bulaun pas
paya hai wo mizaj ki jina bala hua
us par ghalat hai ishq mein ilzam-e-dushmani
qatil hai mere hajla-e-jaan mein chhupa hua
hain jism-o-jaan baham ye magar kis ko hai KHabar
kis kis jagah se daman-e-dil hai sila hua
hai rahwar-e-shauq pe aaseb-e-be-dili
rakkha hai kab se samne saghar bhara hua
hasil hai jis ko 'arsh' fazaon mein iKHtiyar
wo dil ke sath khel raha hai to kya hua
Ghazal
BaiTha hun waqf-e-matam-e-hasti miTa hua
Arsh Siddiqui