bair duniya se qabile se laDai lete
ek sach ke liye kis kis se burai lete
aable apne hi angaron ke taza hain abhi
log kyun aag hatheli pe parai lete
barf ki tarah december ka safar hota hai
hum use sath na lete to razai lete
kitna manus sa ham-dardon ka ye dard raha
ishq kuchh rog nahin tha jo dawai lete
chand raaton mein hamein Dasta hai din mein suraj
sharm aati hai andheron se kamai lete
tum ne jo toD diye KHwab hum un ke badle
koi qimat kabhi lete to KHudai lete
Ghazal
Bair duniya se qabile se laDai lete
Rahat Indori