bahut zindagi ka bhala chahta hun
ba-alfaz-e-digar qaza chahta hun
meri wahshaton ka sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qafila chahta hun
buton se hun bezar itna ki bas ab
KHuda hi KHuda bas KHuda chahta hun
ye duniya ye uqba to sab chahte hain
magar main kuchh is ke siwa chahta hun
judagana hain ab yazidi mazalim
so main karbala bhi juda chahta hun
anasir ki zanjir ko toD kar main
fana chahta hun baqa chahta hun
mujhe shak hai hone na hone pe 'KHalid'
agar hun to apna pata chahta hun
Ghazal
Bahut zindagi ka bhala chahta hun
Khalid Mubashshir