bahut ukta gaya jab shairi se
lipaT kar ro paDa main zindagi se
abhi kuchh dur hai shamshan lekin
badan se rakh jhaDti hai abhi se
use bhi zabt kahna Thik hoga
bahut chiKHa hun main par KHamushi se
bas us ke baad hi miThi nadi hai
kaha aawargi ne tishnagi se
laga hai sochne thoDa tu munsif
mere haq mein tumhaari pairwi se
mayassar ho gain shaklen hazaron
hua ye faeda be-chehragi se
suno wo daur bhi aaega 'kanha'
takega husn jab bechaargi se

Ghazal
Bahut ukta gaya jab shairi se
Prakhar Malviya Kanha