bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye
ruki hui hai munDeron pe sham kis ke liye
bhula ke KHud ko chalo gahri nind sote hain
agar karen bhi to ninden haram kis ke liye
ki is dayar mein kaun aaya hai jo aaega
hamein batao ki ye ehtimam kis ke liye
unhen bhi kash kisi roz ye pata to chale
bane hain shauq se hum bhi ghulam kis ke liye
wo koi aur nahin hai to ek baat bata
chhalak rahe hain nigahon ke jam kis ke liye
Ghazal
Bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye
Rashid Anwar Rashid