bahut se muddai nikle magar jaan-baz kam nikle
pas-e-majnun hazaron aashiqon mein ek hum nikle
nahin mumkin kisi se husn ki barikiyan hal hon
tere har tar-e-gesu mein hamare pech-o-KHam nikle
ye surat ho to apna KHatma bil-KHair ho jae
idhar hum sar jhukaen aur udhar tegh-e-do-dam nikle
hamein arman hai us aastan par zindagi guzre
isi hasrat mein jite hain ki un qadmon pe dam nikle
Ghazal
Bahut se muddai nikle magar jaan-baz kam nikle
Mirza Hadi Ruswa