bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujh ko
liye phirti rahi har ja ye meri bekasi mujh ko
chhupae se nahin chhupti haqiqat khul hi jati hai
sar-e-bazar le aai meri diwangi mujh ko
KHabar kya thi yahi ek din qayamat mujh pe Dhaegi
pasand aai thi bachpan mein teri ye sadgi mujh ko
nigah-e-naz ne un ki mujhe ek armughan baKHsha
mila darbar-e-ulfat se shuur-e-zindagi mujh ko
dil-o-jaan-o-jigar qurban main ne kar diye sare
rulati hi rahi akasr teri beganagi mujh ko
'jalali' jada-e-ulfat mein jab se hai qadam rakkha
rahi un ke tasawwur mein hamesha bekali mujh ko

Ghazal
Bahut ruswa kya is aashiqi ne har gali mujhko
Rauf Yasin Jalali