bahut ruk ruk ke chalti hai hawa KHali makanon mein
bujhe TukDe paDe hain sigreTon ke rakh-danon mein
dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai
hare jangal badalte ja rahe hain kar-KHanon mein
bhali lagti hai aankhon ko nae phulon ki rangat bhi
purane zamzame bhi gunjte rahte hain kanon mein
wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho
koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein
zabanon par ulajhte doston ko kaun samjhae
mohabbat ki zaban mumtaz hai sari zabanon mein
Ghazal
Bahut ruk ruk ke chalti hai hawa Khaali makanon mein
Ahmad Mushtaq