اردو हिंदी
Bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche | Shaahi Shayari
bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche

Ghazal

Bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche

Mushtaq Naqvi

;

bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
magar aashiq na ab tak ishq ke mear tak pahunche

dabain dhaDkanen aankhon ko jhuThlaya gaya barson
baDi mushkil se wo inkar se iqrar tak pahunche

abhi to raushni uljhi hai tariki ke tufan se
na jaane kab talak apne dar-o-diwar tak pahunche

chuDao gar chhuDa sakte ho daman-e-wafa hum se
magar aisa na ho ye baat bhi aghyar tak pahunche

zaban ki aarzu mein Thokaren khate hue naghme
rubab-o-chang se talwar ki jhankar tak pahunche