bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka 'shad' sun aaya
meri jaan gham abas hai jhiDkiyan sunne ka din aaya
zarur us ne kiya qasid se wada apne aane ka
gaya tha muztarib yan se wahan se mutmain aaya
dil-e-sad-para se nisbat nahin zinhaar ai bulbul
chaman mein ja ke aashiq patiyan phulon ki gin aaya
baDi azmat se KHud saqi ne ja kar peshwai ki
sharabi koi mai-KHana ke andar jab musin aaya
chalo waiz se hargiz kuchh na bolo chup raho rindo
hua josh-e-ghazab ya sar pe us nadan ke jin aaya
mariz-e-gham ki sehat ki KHabar allah sunwae
gaya jo pas us ke 'shad' wo phir mutmain aaya
Ghazal
Bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka shad sun aaya
Shad Azimabadi