bahut KHamosh rah kar jo sadaen mujh ko deta tha
baDe sundar se jazbon ki qabaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhe sulgane lagti thi
wo apne sans ki mahki hawaen mujh ko deta tha
wo us ki chahaten bhi to zamane se anokhi thin
riyazat KHud wo karta tha jazaen mujh ko deta tha
mere ehsas ke sahraon mein jo dhup baDhti thi
wo mausam ka KHuda ban kar ghaTaen mujh ko deta tha
use main ajnabi samjha magar har moD par 'ashir'
wo apne nam ki sari duaen mujh ko deta tha
Ghazal
Bahut KHamosh rah kar jo sadaen mujhko deta tha
ashir Wakeel Rav