bahte hue lamhon ki kahani hi badal de
dariya to badalta nahin pani hi badal de
ya ghar ko mere daulat-e-aram-o-sukun baKHsh
ya aarzu-e-naql-mkani hi badal de
kya us se karen zahmat-e-takrar ki jo shaKHs
alfaz ke mahfum-o-maani hi badal de
tarmim-o-tanwwo hai kahani mein zaruri
raja to badalta nahin rani hi badal de
us ghar ki taraf us ki nishani pe chale ho
'mohsin' wo agar ghar ki nishani hi badal de
Ghazal
Bahte hue lamhon ki kahani hi badal de
Mohsin Ehsan