bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi
main ne gham-e-hijran ki kahani nahin likkhi
jis din se tere hath se chhuTa hai mera hath
us din se koi sham suhani nahin likkhi
kya jaaniye kya soch ke afsurda hua dil
main ne to koi baat purani nahin likkhi
alfaz se kaghaz pe sajai hai jo duniya
juz apne koi chiz bhi fani nahin likkhi
tashhir to maqsud nahin qissa-e-dil ki
so tujh ko likha teri nishani nahin likkhi
Ghazal
Bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi
Ambareen Haseeb ambar