bahr-e-hasti mein sohbat-e-ahbab
yun hai jaise baru-e-ab-e-habab
gardish-e-asman mein hum kya hain
par-e-kahe miyana-e-gardab
baada-e-nab kya hai KHun-e-jigar
zardi-e-rang hai shab-e-mahtab
jis ko raqs-o-surud kahte hain
wo bhi hai ek hawa-e-KHana-KHarab
umr kahte hain jis ko wo kya hai
misl-e-tahrir mauj-e-naqsh-bar-ab
jism kya ruh ki hai jaula-nigah
ruh kya ek sawar-e-pa-ba-rikab
husn aur ishq kya hain ye bhi hain
KHatfa-e-barq-o-qatra-e-simab
zindagani-o-marg bhi kya hain
ek misl-e-KHayal-o-digar-e-KHwab
fursat-e-umr qatra-e-shabnam
wasl-e-mahbub gauhar-e-nayab
kyun na ishrat do-chand ho jo hai
yar mah-chehra aur shab-e-mahtab
sab kitabon ke khul gae mani
jab se dekhi 'nazir' dil ki kitab
Ghazal
Bahr-e-hasti mein sohbat-e-ahbab
Nazeer Akbarabadi