bahaaren aur wo rangin nazare yaad aate hain
wo dilkash wadiyan wo mah-pare yaad aate hain
mohabbat ke wo jaan-parwar sahaare yaad aate hain
teri aaghosh mein jo din guzare yaad aate hain
wo mausam wo saman wo din wo subh-o-sham wo raaten
wo hanste nachte gate sitare yaad aate hain
wo jhilen wo chaman wo ghuncha-o-gul aur wo sabza
mere dil ko wo manzar pyare pyare yaad aate hain
masarrat-baKHsh tha kitna tarannum aabshaaron ka
wo lahren wo sukun-parwar kinare yaad aate hain
wo jalwe husn ke wo shahid-e-rangin ki ranai
shabab-e-kaif-o-masti ke wo dhaare yaad aate hain
wo zulfen wo adaen aur wo rang-e-lab-o-ariz
ghazalin ankhDiyon ke wo ishaare yaad aate hain
nashat-e-ruh ai meri bahaar-e-zindagi mujh ko
tere pahlu mein jo lamhe guzare yaad aate hain
Ghazal
Bahaaren aur wo rangin nazare yaad aate hain
Ram Krishn Muztar