bahaar aai hai mastana ghaTa kuchh aur kahti hai
magar un shoKH nazron ki haya kuchh aur kahti hai
rihai ki KHabar kis ne uDai sehn-e-gulshan mein
asiran-e-qafas se to saba kuchh aur kahti hai
bahut KHush hai dil-e-nadan hawa-e-ku-e-jaanan mein
magar hum se zamane ki hawa kuchh aur kahti hai
tu mere dil ki sun aaghosh ban kar kah raha hai kuchh
teri nichi nazar to jaane kya kuchh aur kahti hai
meri jaanib se kah dena saba lahore walon se
ki is mausam mein dehli ki hawa kuchh aur kahti hai
hui muddat ke mai-noshi se tauba kar chuke 'aKHtar'
magar dehli ki mastana faza kuchh aur kahti hai
Ghazal
Bahaar aai hai mastana ghaTa kuchh aur kahti hai
Akhtar Shirani