bagula ban ke nachta hua ye tan guzar gaya
hawa mein der tak uDa ghubar aur bikhar gaya
hamari miTTi jaane kaun zarra zarra kar gaya
baghair shakl ye wajud chaak par bikhar gaya
ye ruh hasrat-e-wajud ki baqa ka nam hai
badan na ho saka jo KHwab ruh mein Thahar gaya
ajab si kashmakash tamam umr sath sath thi
rakha jo ruh ka bharam to jism mera mar gaya
har ek rah us ke waste thi be-qarar aur
musafir apni dhun mein manzilon se bhi guzar gaya
uDa di rakh jism ki KHala mein dur dur jab
'alina' aasmani nur ruh mein utar gaya
Ghazal
Bagula ban ke nachta hua ye tan guzar gaya
Aleena Itrat