baghair saghar o yar-e-jawan nahin guzre
hamari umr ke din raegan nahin guzre
hujum-e-gul mein rahe hum hazar dast daraaz
saba-nafas the kisi par giran nahin guzre
numud un ki bhi daur-e-subu mein thi kal raat
abhi jo daur-e-tah-e-asman nahin guzre
nuqush-e-pa se hamare uge hain lala o gul
rah-e-bahaar se hum be-nishan nahin guzre
ghalat hai ham-nafaso un ka zindagi mein shumar
jo din ba-KHidmat-e-pir-e-mughan nahin guzre
'zafar' ka mashrab-e-rindi hai ek jahan se alag
meri nigah se aise jawan nahin guzre
Ghazal
Baghair saghar o yar-e-jawan nahin guzre
Sirajuddin Zafar