badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai
bhuli hui si yaad phir aai hui si hai
mat hath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin
ye aag dekhne mein bujhai hui si hai
leta hun sans bhi to bhaTakta hai tan-badan
rag rag mein ek nok samai hui si hai
be-saKHta kahe hai jo dekhe hai zaKHm-e-dil
ye choT to unhin ki lagai hui si hai
muddat hui jalai gai shaKH-e-ashiyan
ab tak isi tarah se jalai hui si hai
jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat
lekin zara ye baat banai hui si hai
chheDi ghazal jo tum ne to aisa laga 'kalim'
KHushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai
Ghazal
Badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai
Kaleem Aajiz