badle badle mere gham-KHwar nazar aate hain
marhale ishq ke dushwar nazar aate hain
kashti-e-ghairat-e-ehsas salamat yarab
aaj tufan ke aasar nazar aate hain
inqalab aaya na jaane ye chaman mein kaisa
ghuncha-o-gul mujhe talwar nazar aate hain
jin ki aankhon se chhalakta tha kabhi rang-e-KHulus
in dinon mail-e-takrar nazar aate hain
jo suna karte the hans hans ke kabhi nama-e-shauq
ab meri shakl se bezar nazar aate hain
un ke aage jo jhuki rahti hain nazren apni
is liye hum hi KHata-war nazar aate hain
dushman-e-KHu-e-wafa rasm-e-mohabbat ke harif
wahi kya aur bhi do-chaar nazar aate hain
jins-e-nayab-e-mohabbat ki KHuda KHair kare
bul-hawas us ke KHaridar nazar aate hain
waqt ke pujne wale hain pujari un ke
koi matlab ho to gham-KHwar nazar aate hain
jaeza dil ka agar lo to wafa se KHali
shakl dekho to namak-KHwar nazar aate hain
roz-e-raushan mein agar un ko dikhao tare
wo ye kah denge ki sarkar nazar aate hain
hum na badle the na badle hain na badlenge 'shakil'
ek hi rang mein har bar nazar aate hain
Ghazal
Badle badle mere gham-KHwar nazar aate hain
Shakeel Badayuni