اردو हिंदी
Badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin | Shaahi Shayari
badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin

Ghazal

Badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin

Qaisar Usmani

;

badla mizaj-e-husn to wo ru-ba-ru nahin
wo ishwa-o-ada nahin wo guftugu nahin

dil se tujhe nikal ke kuchh mutmain to hun
phir bhi kahun ye kaise teri justuju nahin

KHushbu na jin ki phaile fazaon mein chaar-su
gulshan mein aise phulon ki kuchh aabru nahin

jab se nizam-e-mai-kada badla hai dosto
wo mai nahin wo jam nahin wo subu nahin

charche wo doston ne diye hain ki al-aman
ab rah-o-rasm ki bhi mujhe aarzu nahin

'qaisar' har ek taraf hai girani ka tazkira
lekin zara bataiye sasta lahu nahin