baDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista 
ki jun kar garm ho hai aaftab aahista aahista 
kiya KHat nen tere mukh kun KHarab aahista aahista 
gahan jun mah kun leta hai dab aahista aahista 
laga hai aap sin ai jaan tere aashiq ka dil rah rah 
kare hai mast kun be-KHud sharab aahista aahista 
dil aashiq ka kali ki tarah khilta jae KHush ho ho 
ada sin jab kabhi khole naqab aahista aahista 
laga hai 'abru' mujh kun 'wali' ka KHub ye misra 
sawal aahista aahista jawab aahista aahista
 
        Ghazal
BaDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista
Abroo Shah Mubarak

