baDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki
bana kohl-ul-basar allah re taqdir patthar ki
asir-e-zulf kyunkar chhuT sakenge qaid-e-wahshat se
ki hai har jada-e-dasht-e-junun zanjir patthar ki
ye jalwa hai kunisht-o-dair mein sane ki qudrat ka
ki dawa-e-KHudai karti hai taswir patthar ki
talash-e-rizq mein ho aasiya ki tarah sargardan
agar dana hai tu bhi sikh le tadbir patthar ki
bata sang-e-jarahat aa ke zaKHm-e-tegh-e-abru par
hua achchha tere aashiq ko di tazir patthar ki
fusun-e-chashm-e-qatil se bana hun sehr ka putla
jo chhu le meri gardan ko to ho shamshir patthar ki
shab-e-furqat mein jo soche the karte wo shikayat kya
nazar karte hi un par ban gae taswir patthar ki
na nikli hai na niklegi jami hai dil mein jo un ke
miTane se bhi miTti hai kahin tahrir patthar ki
saza-e-ishq-e-mizhgan-e-butan-e-sang-dil pai
hui barish har ek jaanib se hum par tir patthar ki
na farq aaya 'habib'-e-sabir-o-shakir ki rahat mein
bana duniya mein qismat ka likha tahrir patthar ki
Ghazal
BaDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki
Habeeb Musvi