اردو हिंदी
BaDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe | Shaahi Shayari
baDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe

Ghazal

BaDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe

Asad Badayuni

;

baDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe
khujuron ke daraKHton ko ghanera saeban samjhe

chaman mein mere aansu the jinhen shabnam kaha sab ne
falak par meri aahen thin jinhen sab kahkashan samjhe

kabhi tujh ko ghubar-e-rang mein koi kiran jaana
kabhi tujh ko giraft-e-sang mein jue rawan samjhe

kisi be-mehr-subhon ko ata ki raushni hum ne
kai na mehrban raaton ko bhi hum mehrban samjhe

KHizan ke shahr mein bas main bahaaron ki alamat tha
mere zaKHmon ko sab phulon ki nazuk pattiyan samjhe

sabhi ko de raha tha wo dua jine ki sadiyon tak
hamare shahr ke sab log us ko bad-zaban samjhe

thake baiThe the kuchh panchhi lab-e-dariya jinhen 'asad'
hum apni par-shikasta KHwahishon ka karwan samjhe