baDe jatan se baDe soch se utara gaya
mera sitara sar-e-KHak bhi sanwara gaya
meri wafa ne junun ka hisab dena tha
so aaj mujh ko bayaban se pukara gaya
bas ek KHauf tha zinda teri judai ka
mera wo aaKHiri dushman bhi aaj mara gaya
mujhe yaqin tha is tajrabe se pahle bhi
suna hai ghair se jalwa nahin sahaara gaya
saja diya hai tasawwur ne dhup ka manzar
agarche barf ki taswir se guzara gaya
mila hai KHak se nisbat ka phir sila mujh ko
mera hi nam hai gardun se jo pukara gaya
main dekhta raha duniya ko dur se 'sahil'
mere makan se aage talak kinara gaya
Ghazal
BaDe jatan se baDe soch se utara gaya
KHalid Malik u0027Sahilu0027