badan se ruh ruKHsat ho rahi hai
mukammal qaid ghurbat ho rahi hai
main KHud tark-e-talluq par hun majbur
kuchh aisi hi tabiat ho rahi hai
jafa un ki dil-e-zud-ashna par
ba-miqdar-e-mohabbat ho rahi hai
KHuda se mil gaya hai husn-e-kafir
KHudai par hukumat ho rahi hai
nahin tanhai-e-zindan mukammal
mujhe saye se wahshat ho rahi hai
ye tum hans hans ke baaten kar rahe ho
ki taqsim-e-jarahat ho rahi hai
agar mashrab nahin badla hai 'simab'
to kyun tajdid-e-baiat ho rahi hai

Ghazal
Badan se ruh ruKHsat ho rahi hai
Seemab Akbarabadi