badan se rishta-e-jaan mo'tabar na tha mera
main jis mein rahta tha shayad wo ghar na tha mera
qarib hi se wo guzra magar KHabar na hui
dil is tarah to kabhi be-KHabar na tha mera
main misl-e-sabza-e-begana jis chaman mein raha
wahan ke gul na the mere samar na tha mera
na raushni na hararat hi de saka mujh ko
parai aag mein koi sharar na tha mera
zamin ko ru-kash-e-aflak kar diya jis ne
hunar tha kis ka agar wo hunar na tha mera
kuchh aur tha meri tashkil o irtiqa ka sabab
madar sirf hawaon pe gar na tha mera
jo dhup de gaya mujh ko wo mera suraj tha
jo chhanw de na saka wo shajar na tha mera
nahin ki mujh se mere dil ne bewafai ki
lahu se rabt hi kuchh mo'tabar na tha mera
pahunch ke jo sar-e-manzil bichhaD gaya mujh se
wo ham-safar tha magar ham-nazar na tha mera
ek aane wale ka main muntazir to tha 'akbar'
har aane wala magar muntazir na tha mera
Ghazal
Badan se rishta-e-jaan motabar na tha mera
Akbar Hyderabadi