badan se jaan nikalna chahti hai
bala us ghar se Talna chahti hai
yunhi aatish-fishan kab jagte hain
zamin karwaT badalna chahti hai
hudud-e-sahn-e-gulshan se nikal kar
saba galiyon mein chalna chahti hai
dhuan sa uTh raha hai chaar jaanib
koi surat nikalna chahti hai
hawaon mein nahin quwwat numu ki
magar Tahni to phalna chahti hai
jo chehra hai wahan phuli hai sarson
zamin sona ugalna chahti hai

Ghazal
Badan se jaan nikalna chahti hai
Najeeb Ahmad