badan pe zaKHm sajae lahu labaada kiya
har ek sang se yun hum ne istifada kiya
hai yun ki kuchh to baghawat-sirisht hum bhi hain
sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiya
hamein to maut bhi de koi kab gawara tha
ye apna qatl to bil-qasd bil-irada kiya
bas ek jaan bachi thi chhiDak di rahon par
dil-e-gharib ne ek ehtimam sada kiya
jo jis jagah ke tha qabil use wahin rakkha
na ziyaada kam kiya hum ne na kam ziyaada kiya
bacha liya hai jo sar apna saKHt nadim hain
magar ye apna tahaffuz to be-irada kiya
na lauTne ka hai rasta na Thaharne ki hai ja
kidhar ka aaj junun ne mere irada kiya
Ghazal
Badan pe zaKHm sajae lahu labaada kiya
Bilqis Zafirul Hasan