badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha
wo aadmi bhi yahan hum ne bad-chalan dekha
KHaridne ko jise kam thi daulat-e-duniya
kisi kabir ki muTThi mein wo ratan dekha
mujhe mila hai wahan apna hi badan zaKHmi
kahin jo tir se ghayal koi hiran dekha
baDa na chhoTa koi farq bas nazar ka hai
sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha
zaban hai aur bayan aur us ka matlab aur
ajib aaj ki duniya ka wyakaran dekha
luTere Daku bhi apne pe naz karne lage
unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha
jo sadgi hai kuhan mein hamare ai 'niraj'
kisi pe aur bhi kya aisa bankpan dekha
Ghazal
Badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha
Gopaldas Neeraj