badan ke rup ka ejaz ang ang thi wo
mere liye to meri ruh ki tarang thi wo
gulon ke nam khuli piTh par meri likh kar
KHizan ke phailte lamhon se mahw-e-jang thi wo
siyah ghaTaon se kirnen tarash leti thi
meri hayat ki ek jagti umang thi wo
wo zaKHm-KHurda-e-haalat KHud rahi lekin
tamam nikhat o naghma tamam rang thi wo
na jaane kitne the 'shahin' us ke matwale
agarche shaKH mein uljhi hui patang thi wo
Ghazal
Badan ke rup ka ejaz ang ang thi wo
Shaheen Gazipuri