اردو हिंदी
Badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana | Shaahi Shayari
badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana

Ghazal

Badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana

Farhat Ehsas

;

badan ke mausam-e-barsat mein nahin aana
visal karna hai jazbaat mein nahin aana

muamalat-e-mohabbat hun main ghulam tera
pe jaan-e-man teri har baat mein nahin aana

ajib ruh ki shadi hai ek ruh ke sath
kisi bhi jism ko baraat mein nahin aana

hum aadhi raat ke baad apne sath rahte hain
KHayal rakhna bahut raat mein nahin aana