badan ke gumbad-e-KHasta ko saf kya karta
tere jahan mein nae inkishaf kya karta
adam ke unghte pani mein jab thi meri lahr
mere wajud se main iKHtilaf kya karta
na koi shor tha is mein na koi sannaTa
main apne ruh ke gunge tawaf kya karta
ki ek dawam ke tewar the murtaish is par
safar ki gard se main inhiraf kya karta
kai yugon ki shafaq mein taDap chuka hai 'riyaz'
lahu ab apne junun ko muaf kya karta

Ghazal
Badan ke gumbad-e-KHasta ko saf kya karta
Riyaz Latif